Wifi Calling Kya Hai ? HIndi Me jaane

Agar aap log vo-wifi ya wifi calling ke baare main janna chahte ho to aap log bilkul sahi jagah pe aaye ho aaj ham isi ke baare main baat karne ja rahe hai ki vo-wifi ya wifi calling kya hai, eske fayde aur nuksan kya hai.
What is Wifi calling

Vo-wifi ya wifi calling ka matlab wifi network ke jariye calling karna jaisa ki naam se hi pata chal jata hai aur ye koi nayi tqneek nahi hai eise aap aaj bhi eistemaal karte hai.

Bas eise next generation wifi bola jaa raha hai kyoki ab sabhi network opreator eis taqneek ka eistemaal karne wale hai

Aap kabhi bhi facebook messenger ya fir whatsapp par video calling karte hai to eis main vo-wifi ka eistemaal kiya jata hai.



Jab kabhi bhi eis dauran network switch hota hai ya fir singal sim network ka kam hota hai to aapko bilkul bhi pata nahi chalta aur bina dikkat ke video call kar paate hai.

Wifi calling kya hai ? hindi me jaane

Abhi whatsapp ya fir facebook apne khud ke dailer ka eistemaal karta hai ye hamare phone ke dailer ka eistemaal nhi karte hai eise ott(over thr top) app kahte hai.

Vo-wifi ki taqneek ki madad se aap phone dailer se call kar payenge bakyada wo bhi wifi network se aapko eis ke liye ek icon dikhayi dega jisse aapko pata chalega ki aapke phone main wifi calling chalega ya nahi eiska sabse bada fayda low network chhetr main hoga.

Jaha logo ke mobile network bahut thoda aate hai jis main aap wifi call ki madad se aasani se call kar paoge.

Vo-wifi main yadi apke paas mobile pe behtar wifi connection hai to wifi se call hoga warna aapke sim card network se hi kaam chalega.

Sahi tarike se dekha jaye to wifi calling aap jo samajh rahe ho ki sirf mobile wifi se connect hone se ham kisi bhi person ko call kar payenge to ye wo system nahi hai.

Wifi calling ka bas eitna hi fayda hai ki ham kisi ko call karna chahte hai aur wifi hamaare mobile main connected hai aur sim card ka network thoda down hoga to wifi ki madad se hame behtar call krne ki suvidha milegi.

NOTE :-
Agar aapko hamara post thoda bhi achha laga ho to comments aur apne dosto ke sath share jarur kijiye.

Post a Comment

और नया पुराने