Aur dosto ye game koi chhota mota game bhi nahi hai eis game ko download karne main kam se kam aapke paas 3 se 4 gb data hona jaroori hai tab jakar ye game pure tarike se apke mobile me install hota aur aur aap eisko aasani se khel ke maje le paoge.
To dosto main bata ye rha tha ki har bar eis game main chhote mote updates aate hi rahte hai aur fir un sab ko update karne main hamara 1 se 2 gb tk data kharch hota hai jo ki har kisi ke pas nhi mil pata hai to aaj main aapko pubg mobile ko bina internet data ya wifi data kharch kiye update karne ka tarika bataunga yani pubg mobile Ka full setup transfer karne ka tarika bataunga jisme aapki 1 mb tak ka bhi data nhi lagegi.
PUBG ka full setup kaise transfer kare ?
To dosto sabse pahle to me aapko clear kar du ki jab pubg ka update aata hai ya fir aap kisi ke pas pubg dekho aur aapko bhi lene ka man kre to samne wale bande ke paas pura setup hota hi hai.Aur jab updates aata hai to koi na koi aapke friends me se ek bnda to update kar hi leta hai to mai aapko us ke mobile se aapke mobile me pubg mobile ka full setup transfer krna bta rha hu.
Pubg mobile ke setup me jaisa ki aapko pta hi hai ki badi badi files hoti hai to sabse pahle aapko jaroorat padegi ek file transfer app ki jo ki aap google play store se aasani se download kr loge mai yaha kuchh apps ka naam bta deta hu jaise ki Share Me, Share It, Xender aur Easy Share jaisi apps ko download kr lena.
Dono mobile me same app honi chahiye file transfer wali jaha tak mene dekha hai log jyada tar file ko transfer karne main Xender ka upyog lete hai aur mai bhi Xender ka hi use karta hu khair aapko jo pasand hai wo dekh lena.
Ab aapko dono mobile ko us file transfer wali app se connect kar lena hai aur sabse pahle aapko pubg mobile ka Apk file send kr lena hai.
Note :- Pahle se pubg install hua hai to wuse uninstall kar de aur ye nye sire se shuru kare.
Uske baad aapko mobile connect hi rakhna hai aur wale option me jakar.
"Phone Storage/Android/obb/com.tencent.ig "

Main jana hai aur waha aapko kareeb 1.8GB ki '.obb' file milegi usko bhi transfer kar lena hai, ab ye to ho gyi main pubg mobile app ki file ab mai aapko bata deta hu ki sare maps aur reasourcess pack ko kaise transfer karna hai.
PUBG download resources kaise transfer kare
Ab aapko wahi file wale option main "PhoneStorage/Android/data/com.tencent.ig/file/UE4GAME/ShadowTrackerExtra/ShadowTrackerExtra/Saved/Paks " wale folder main aapko map name se shuru jitne bhi '.pack' files hai wun sab ko transfer kar lena hai aur sath hi sath 'ODPaks' naam ka pura folder transfer kar lena hai jis me lagbhag 2199 files hai.
Dosto ye sb transfer karne ke baad ab me bta deta hu main kaam jaise ki kis tarah ab ye other mobile se liya gya pubg setup kaise ab is me setup karenge yani kaise is ko ab run karenge.
Sabse pahle to mene aapko bta diya hai ki agar old version pubg ka installed hai to usko uninstall kar dena hai aur ab Wifi aur Mobile Data off ke dena hai aur jo new wala PUBG Mobile ka apk liya tha usko instal karna hai aur ek bar bina data connection ke opem karna hai.
Aur open kr ke game ko puri tarah exit kar dena hai ab aapko mobile data ya wifi connection on kar lena hai aur aapko jana hai file manager me ab aapkne jis bhi app se wo sb paks maps obb file li thi us folder me jana hai aur sabse pahle jo hamne 1.8 Gb ki obb file li thi us file ko waha se move karna hai.
Aur dalna hai android nam ke folder main.
" Android/obb/com.tencent.ig "
Yaha pe lake usko paste kar dena hai ab apko ek bar pubg mobile ko open karna hai aur apni id log in karni hai sab load hone ke bad fir se PUBG ko exit karna hai aur ab jo files rah gyi hai wo maps aur ODPaks wale folder un sab ko bhi thikane lagana hai.
To ab aapko fir se usi file transfer wali app ke folder me jana hai aur in sab files ko cut ya copy karke us jagah le jake paste kar dena hai.
"Android/data/com.tencent.ig/files/UE4GAME/ShadowTrackerExtra/ShadowTrackerExtra/Saved/Paks/ "
Yaha is jagah pe lake un sab ko paste kar de aur ha od paks wlaa folder yaha pahle se hi bna hua milega to aapko replace file pe click kr ke w jo folder copy karke laye hai use paste kar dena hai.
Ji haa dosto ab aapko ek bar PUBG Mobile ko open kar ke dekh lena hai ki sari files aa gyi hai ya nhi nhi aayi to sahi tarike se transfer ar lena aur copy paste bhi sahi tike se kr lena.
To ab aapka ye PUBG Mobile ka pura setup ek mobile se dusre mobile me aa chuka hai bina data kharch kiye.
Note :-
To friends yahi tha aaj batane ke liye umeed hai aapko di gyi jankari pasand aayi hogi, Aur bhi technology related information ke liye hamare websie pe email id enter karke subscribe button par click karke subscribe kar lijiye aur ye bilkul free hai.

एक टिप्पणी भेजें