To dosto aap bahut baar ye sochte honge ki aakhir kya aisi problem aa gyi hai jiske karan lagging aur hanging ki smsya itni dekhne ko mil rahi hai to dosto aaj ham aapko eis ka sara mamla samjhane wale hai aur sath hi sath eis mamle ko suljhane ka bhi bharpoor pryas krenge.
Yani aap ko pta chl hi gya hoga ki aaj ham aapko Mobile me hone wali lagging aur hang hone ki problem ka reason aur uska hal batane wale hai.
Mobile Phone Hang Aur Lag Hone Ke 6 Sabse Bade Reason.
1.Mobile Ka Old Hardware
Dosto hamare mobile ka hang hone ka sabse bada aur pahla kaaran uska hardware ho skta hai jo ki outdate hai yani aapke mobile ka hardware purana ho chuka hai jo ki aajkal ke nye nye mobile updates application updates ko sahi dhang se smbhal nahi pata hai.
Saral bhasa me kaha jaye to ye mobile ka old hardware nye software ko sahi tarike se chalane me saksham nhi ho pata hai aur isi problem ke chalte hamara mobile ka hang hona shuru ho jata hai.
Lekin agar software ko optimize kar diya jaye to is problem ka solution nikala ja sakta hai yani jab bhi aap nya mobile le to usme ek baat ka khas taur pe dhyan rakhe ki uske andar apko latest hardware milta hai Ki nahi jo ki samay ke sath android ke ane wale updates ko aasani se handle kar paye.
2.Unwanted Apps And Data
Dosto aapko bata du ki mobile ke hang hone ka dusra sabse bada kaaran mobile phone main bahut sare application ko install karke rakhna bhi ho skta hai.
Yani aapne apne mobile main bahut sare application install karke rakh diye jinme se aadhe to apke kaam bhi nhi aate matlab ki kaam to aate hi hai par aap un sab ko ek bar use kar liya aur abhi bhi mobile main daal ke rakhe ho.
Aur aapko ye bhi nahi pta hota hai ki ein sab main se jinko ham ab kaam main hi nahi le rahe hai ye sare background main chal bhi rahe hote hai jinse hamara mobile ki ram ki khapat ho rhi hoti hai aur hamare mobile ki storage ko bhi fill karke rkhti hai.
Dosto aisi halat me aapko sabse pahle apne mobile se bina kaam ki application ko uninstall aur disable krna jaroori hai eisse aapke mobile ki ram free rahegi aur sath hi phone ki storage bhi free rahegi.
Ab aapko apne jaroorat ke hisab se hi apps ko mobile main rakhna hai aur ha bina kaam ka data bhi delete kar dena chahiye kyunki jitni jyda mobile ki storage bhari hui rahti hai unti hi tezi se mobile dhire dhire hang hona shuru kar deta hai.
3.Booster Releted Apps
Dosoto maine aksar logo ko dekha hai ki wo apne mobile me Speed Booster, Battery Booster, Game Booster, jaise apps ko insall karke rakhte hai ye sochke ki hamara mobile ein se fast chalega kahi aap bhi ein sab main shamil to nahi ho?
Dosto mai aapko aaj clear kar deta hu ki ye sab apps kisi kaam nahi aati hai ein sab se hamare mobile main koi benifit nahi milta hai ye sab application sirf aapke background main chal rahi apps ko stop karti hai jo ki aajkal har mobile main recent button daba ke clear kiya ja sakta hai waha se ham bina kisi app ki madad liye hi apps ko hata sakte hai.
Aur to aur ye sab application mobile me permission leke khud hamesha background main chalti rahti hai jisse aapke mobile system ko jyada mehnat karni padti hai, to mera to yehi kahna hai ki ein sab apps se door rahe aur install kiya hua hai to un sab ko uninstall kar de.
4.Overload And Malware
Dosto mobile phone slow hone ka ek karan ye bhi hai ki aapka mobile ka storage jyada bhara huaa hai aur aapke mobile main application jo hai wo updated nahi hai to aapko chahiye ki sare aaps ko google play store main jakar updated rakhe aur koi bhi aisi application nahi rakhe jo ki play store main nahi li gyi hai kyunki eis tarah ki application se malware ka khatra rahta hai jinse hamara mobile bahut jyada slow ho jata hai.
Aur dosto google play store ek trusted platform hai jaha malware ka dar bilkul bhi nahi hota hai agar aap mobile ke sare application ko up to date rakhoge to apka mobile achchhe tarike se perform karega.
5.Bug Fix And New Update
Agar ham log mobile ka eistemal karte hai to ein sab ke updates ko kaise bhul sakte hai mai aapko batana chahta hu ki mobile main updates 2 tarah ke aate hai ek to Bug Fix Update aur ek Android Version Update.
Bug Fix Update ka matlab ye hai ki mobile me jo problem aa rahe hai na unko updates ke sath solve kiya jayega ye update bahut hi kargaar hota hai kyuki eis update se device ka performance achchha hota hai aur speed badh jati hai.
Android Version Update
Android version update ka matlab ye hai ki yani maan lo kisi mobile me android 7 hai to waha android 8 ka update aa jaye eis tarah karke ab tak android ke 10 version market me fully tarike se aa chuke hai.
aur ek bat hamesha yad rakhna android version ka update aane ke sath sath mobile me bahut si problem bhi aa jati hai jinko baad main bug fix update se fix kiya jata hai.
6.Provide Slow Update By Mobile Company
Dosto company bahut bar aisa karti hai ki update nahi deti hai aur janboojh kar mobile ko purana karti hai taki ham nya mobile lene pe majboor ho jaye, kyoki mobile ko ham jyada salo tak use nhi kar skte hai kyunki ye sb electronic chije jyada dino tak nahi chalti hai.
Aur mobile main sabse jaldi khrab hoti hai mobile ki battery aur update denge to mobile ki battery jyada use hogi jaisa ki mene apko bataya ki updates aane se jyada storage ka use hota hai aur bugs bhi sath me aata hai.
To dosto in sab se bachne ka ek hi tarika hai ki aapke mobile main nya android version ka update aaye to use update na kijiye aur old pe hi chalayiye aur sabse best tarika hai ki apne mobile ko flashing karwa le jis se aapke mobile ki life badh jati hai.
Note :-
To friends yahi tha aaj batane ke liye umeed hai aapko di gyi jankari pasand aayi hogi, Aur bhi technology related information ke liye hamare websie pe email id enter karke subscribe button par click karke subscribe kar lijiye aur ye bilkul free hai.
एक टिप्पणी भेजें