Kya aapka phone bhi kabhi gum hua hai yadi nahi hua to thik hai warna phone gum hone ka gam bahut hi dukhdayi hota hai jab app apna priye bastu apna phone kho dete hai.
Tab aisa lagta hai ki mano aapne duniya ka sabse priye bastu kho diya tab aap wuse bahut khojte hai yadi mil gya to thik warna khone ka dukh dhire dhire garsit karne lagta hai.
Aisa eisliye nahi ki phone ki kimat jyada hai balki eisliye bhi ki eisme aapke bahut se personal aur financial data bhi hote hai jo ki choro ke liye bahut valuable ho sakte hai.
Wahi kaaran hai ki aisi personal information ka kisi ajanbi ke hath main lagna sach main ek bahut hi bada loss hota hai wus phone ke owner ke liyee eisliye phone khone par kya kare wuski jankari apke liye bahut jaruri hai.
1.Check Kare Ki Kya Sach Me Phone Kho Gya Hai Ki Nahi.
Aisa bahut bar hota hai ki log aapse mazak karne ke liye aapke phone ko chhupa lete hai aise main aapko apna phone dundhne par bhi nahi milta hai eisliye pahle hi jyada chintit nahi hokar thodi der baad apne dosto se eis bisay main puchhe ho sakta hai ki aapka phone aapke kisi dost ke pass se mil jaye.
Wahi bahut bar aisa hota hai ki jaldibazi main ham apna phone kisi dusri jagah pe rakh dete hai jisse hame lagta hai ki hamara phone chori ho gaya hai.
Aise main aap apne phone par call kar sakte hai apne dusre phone ka eistmal karke aur agar aapko ringing ya vibrating hone ka sound sunayi pad gaya to badhiya hai wahi agar kisi ne wuse uthaya aur aapse bat ki tab aap unhe apne khoye huye phone ke bisay maim bata sakte hai jo ki aapko wuse wapas lane main madad bhi kar sakte hai.
2.Apps Ka istmal Kare.
Yadi koi bhi answer nahi mila call karne par tab aapko bhi ek phone finder app jaise ki find my iPhone, google find my device, ya sumsung find my mobile ka eistmal kar sakte hai.
Lekin ye sirf tabhi kam karta hai jab aapke smartphone main bhi wo app pahle se installed ho yadi hai to bas aapko app ki website par jana hota hai.
Aur login karna hota hai apne sahi credentials ke sath aur fir instructions ko follow kare jisse ki aap apne phone ko map main locate kar sake.
Yadi aap wus app se apne phone ka location trace karne main saksham ho jate hai tab aise main iske do case ho sakte hai pahala ye ki location aapke ghar ke nikat hi ho aisi jagah jaha aapka roz jana aana hota hai.
Tab aap aise main wus location ko trace kar apne phone ko hasil kar sakte hai dusra ye ki yadi location kahi aur hai jise ki aapne kabhi nahi suna hai.
Tab aise main samajh le ki aapka phone kisi chor ke hatho main hai aur aapke phone karne par bhi waha se jawab nahi aata hai tab to maan lijiye ki aapka phone chori ho chuka hai.
Aisa jyada tar hota hai ki chor akasar phone ko switch off kar lete hai aur switch off hone se phone finder app bhi work nahi karta hai.
Wahi agar chor ne phone ko switch off nahi kiya hai aur aapko uske location ka pata chal jayega tab bhi aapko unke yaha jaldibazi nahi karni chahiye kyoki eiska bura parinam bhi ho sakta hai kosis kare ki kisi police station main sampark kare aur unke nirdeso se hi kam kare.
3.Ek Police Report File Kare (FIR)
Dhayan de ki aapki ye case ko itni jayada high priority nahi di jayegi, eisliye aapko eisme thoda samay jarur lag sakta hai.
Yadi aapka phone recover nahi ho sakta, tab bhi police ke dawara di gyi police report bahut kam aa sakta hai.
Jaise ki agar aapne apne phone ka insurance karawa hai tb bahut se insurance company aapke chori huye phone ki bharpayi tb tak nahi karte jab tak ki aap unhe ek police report number nahi de dete.
Remotely Apne Phone Ko Lock Aur Erase Kare.
Jaise hi aapko pata chale ki aapka phone aapke pass nahi hai kisi dusre ke pass hai tb aapko turant hi tay karna hoga ki chor aapke contents ke upar access na kar paye aur isko kaise roke.
Eiskeliye aapko apne phone ko remotely lock karna hoga.
Ye parkiriya alag alag operating system main alag alag hoti hai jaise.
Android Me Kaise Kare.
Agar aap chahe to apne android device ko aap remotely lock kar sakte hai.
Aur wo Find My Device app ke jariye kar sakte hai ya browser main bhi kar sakte hai browser main type kre google.com/android/find aur login kare.
Aur wo Find My Device app ke jariye kar sakte hai ya browser main bhi kar sakte hai browser main type kre google.com/android/find aur login kare.
Play Sound :- pe click karke sound suun sakte hai.
Secure Device :- pe click karke apne device ko lock kar sakte hai.
Erase Device :- pe click karke pura data delete kar sakte hai.
Note :-
Agar aapko hamara post thoda bhi achha laga ho to comments aur apne dosto ke sath share jarur kijiye.
Thanks Sir
जवाब देंहटाएंWelcome
हटाएंएक टिप्पणी भेजें