WhatsApp Kya Hai ?
Ham sab log aaj apne pure din me sabse jyada samay whatsapp chalane me bitate hai, apne dosto se bat karne me ya group me lage rahte hai.Lekin kya ham whatsapp ke bare me aur bhi kuchh jante hai jaise whatsapp kya hai aur kaise bana en sab chijo ke bare me sayad hi jante honge.
To aaj ke is post me whatsapp ke bare me puri jankari dene wala hu. whatsapp ek free instant massager app hai aur yah sabhi platform pe uplabdh hai jaise android, iphone, blackberry etc.
whatsapp pe aap unlimited text massage ke alawa voice call aur video call bhi kar sakte hai whatsapp pe individual chat ke alawa group chat bhi kar sakte hai. ek aur bat ki whatsapp ko facebook 19 billion dollars me buy kar liya hai aur ab whatsapp facebook ke under me aata aai.
WhatsApp Kaise Bana :-
Brian acton aur Jan koum dono ne milkar 2009 me whatsapp ko banaya tha pahle ye dono yahoo company me job karte the. lekin in dono ki ek echchha thi ki ye dono bhi yahoo ki tarah badi company banayenge isliye Brian Acton aur Jan Koum ne yahoo se job chhod di aur khud ka business karne lage lekin enhe usme kuchh khas success nahi mili.
Whatsapp founders |
Halaki iske baad bhi Brian Acton ne har nahi mani aur unhone Twitter company me job ke liye apply kiya lekin twitter ne bhi reject kar diya. dono badi companyo se rejection milne ke baad to koi bhi har maan jata hai lekin Brian Acton aise har nanne wale nahi the halaki unhone soch liya tha ki ab job ke liye apply nahi karna hai balki khud ka hi kuchh karna hai.
Tabhi 2009 me jab Brian Acton aur Jan Koum iphone kharida aur App Store me unhe app ki chhamta ka ehsas hua aur uske baad dono ne apne dost alex fishman se west san jose me ek new parkar ke massaging app ke bare me charcha ki aur unhe ehsas hua ki is tarah ki app banane ke liye unhe iphone app developer ki jarurat padegi iske liye alex fishman rentacoder.com pe gaye jaha pe unhe ek russian developer mila aur unhone kam suru kar diya.
Lekin whatsapp ke suruaati jo version the we sabhi crash hote chale gye jiske baad se Jan Koum ne puri tarah se har maan li thi aur fir se job karne ke liye soch rahe the, lekin Brian Acton ne unhe kuchh mahine aur rukne ko kaha aur brian acton ka ye faisla sahi sabit hua.
Usi dauran Apple ne push notification ko lunch kiya jisse upyogkartawo ko app ka upyog nahi karne par ping karne ki anumati mili tabhi Jan Koum ne whatsapp ko puri tarah se badal diya aur WhatsApp 2.0 ko lunch kiya jise unhone massaging component ke sath shuru kiya aur use user ke phone number se jod diya aur dekhate hi dekhate whatsapp par 250000 active user ho gye. Iske baad whatsapp ne babhi bhi pichhe mud kar nahi dekha.
Uske baad whatsapp ko funding milna bhi suru ho gaya halaki kuchh hi salo me facebook ne 19 billion dollars me whatsapp ko buy kar liya jo ki abhi tak ka sabse badi rakam tha kisi company ko kharidne ki.
Aaj ke time me har mahine 1.5 billion user whatsapp pe active rahte hai.
Released On :- 18 Oct 2010
Developed by :- WhatsApp Inc.
Minimum Rating On Play Store :- 4.3
Note :-
Agar Aapko Hamara Post Thoda Bhi Achha Laga Ho To Comments Aur Apne Dosto Ke Sath Share Jarur Kijiye.
एक टिप्पणी भेजें