Dosto internet ek jariya ban chuka hai duniya main logo se judne ka aur din pratidin internet users ki sankhya badhti hi ja rhi hai aur har koi eis ke sath judna bhi chahta hai duniya ke sath qadam se qadam milakar chalna bhi chahta hai.
aur ein sab se badhte users ke chalte internet Technology din b din tarakki bhi kar rhi hai.
Aapko mai clear kar du ki abhi tak ham sab jo internet ka use karte hai wo 2D hi hai, future main ye sb prakriya 3D internet main tabdeel ho jayegi jisse ham aur adhik aur aasan trike se internet ka fayda le sakenge aur tezi se duniya ke sath connect ho sakenge chlo ab jyada time na khrab karte huye ham apne main topic pe aate hai.
Kya Hai 3D Internet || What is 3D Internet
3D internet ye ek aisi sanchar madhyam hai jisme ham kisi bhi cheej ki rubaru kalpana kar sakenge wus ko mahsoos kar sakenge jaisa ki ham ek dusre se batcheet karte time yah dekhte hai ki ye kitna door hai kitna bda hai kya iska aakar hai etc.
3D Internet ek new generation hai jo ki hamari aane wali pidhi ko naseeb ho sakta hai yani wo sab 3D internet ka fayeda shuruwati dino main hi istemal karna shuru kar denge tab tak 2D internet ka prachalan bhi khatm ho jayeg jis tarah 2G ho chuka hai.
what is 3d internet |
Jab ham apne mobile se kisi bhi cheej ka photo ya video lete hai to wo hame ek video ke roop me dikhta hai balki sach to ye hai ki video kyi sari photos se milkar bana hota hai. jaise ham video recording karte hai to wusi time camera bahut sari photos ka video bna deta hai jisko wo video ka roop deta hai.
Jo ki ham sab nahi dekh pate hai photos ka video main badalna kyunki ye sab itne fast time main hota hai jin ki ham kalpana bhi nahi kar pate hai to eisi tarah abhi 2D internet main ham jitne bhi websites pe visit karte hai chahe wo facebook, google ya fir koi dusri website ho ye sab main documents ka istemal hota hai.
Jab bhi ham internet pe photo dekhte hai to uski quality bahut kam hoti hai kahne ka matlab ye hai ki abhi jo ham 2D Internet ke jariye se jis bhi photo ko dekh pate hai wo sirf ek hi particular area se hi dekh pate hai jis area se wo photo click ki gyi ho.
Jab ham 3D internet ka istemal karenge to photo ko charo taraf se ghumakar dekh sakenge actual ye pta kar sakenge ki charo taraf kya hai abhi jo animation istemal karte hai ein sab ki sankhya 3D internet aane ke baad badh jayegi.
Jaise ham kisi bhi video ko dekh paa rhe hai to 3D taqneek se wuse hame ahsaas bhi hoga jaise ki ye sab hamare samne hi ho rha hai. saral bhasa main ye hai ki kisi bhi cheej ko internet ke jariye dekha aur use sath main mahsoos bhi kar pana hi 3D internet kahlata hai.
Jaise ki abhi aap ye jankari text ke jariye 2D internet main padh rahe hai to 3D internet aane ke bad ye sab animation ke jariye ein sab ko dekhenge to actual roop se aisa lagega ki mahsoos bhi ho rha hai.
3D Internet Ki Jaroorat Kyu Padi?
Jab ham kisi project pe kam karna shuru karte hai to ham sabse pahle ye sochte hai ki ye hamare kya kam aayega aur eisse kya fayeda hoga logo ko kis tarah madad karega to ye 3D internet ki kya jaroorat padi aapke dimag main bhi ye sawaal aaya hoga.
Abhi ham log jab bhi Online Shoping websites se shoping karte hai to waha pe product ka alag alag part ka photos hame dekhne ko milta hai jisse ham ko ye pta chalta hai ki ye product kaisa hai kaisa nahi lekin 3D internet ho jane ke baad ham wus product ko bakayda samne mahsoos karenge aap sabhi ne kabhi dekha hoga ki aajkal sinema gharo main 3D taqneek se bane divices aapke aankho par laga diya jata hai jisse aapko lagta hai ki ye sence hamare samne hi ho rha hai.
what is 3d internet |
3D Internet Kaise Kaam Karta Hai?
Abhi ka 2D Internet kayi sari taqneeko pe kaam karta hai ein sab se bhi adhik taqneek ka Eistemaal hoga 3D internet main aayiye jante hai kya kya teqneek kaam aayegi 3D internet main.
Yah Vertual Platform I.E Second Life ka eistemal karega.
Machine learning aur Artificial Intelligence jaisi taqneek ka eistemal bade paimane pe karega.
Google Glass jaisi 3D Eyewaer ka eistemal karta hai, jisse 3D duniya se rubaru ho sake
yah Sixth-sence jaisi technology ka bhi eistemal karega.
Sensors aur Holographic Image Projection se kaam karegi.
what is 3d internet |
2D Aur 3D Internet Main Kya Fark hai?
Abhi aap sabhi tv main kisi bhi program ko ek photo ke samuh ke roop main dekh pate hai, lekin 3D internet ke jamane main aap wus chiij ko samne mahsoos bhi kar sakoge.
Note :-
To Friends Yahi Tha Aaj Batane Ke Liye Umeed Hai Apko Di Gyi Jankari Pasand Aayi Hogi,
Aur Bhi Technology Related Information Ke Liye Hamare Websie Pe Email ID Enter Karke Subscribe Button Par Click Karke Subscribe Kar Lijiye Aur Ye Bilkul Free Hai.
एक टिप्पणी भेजें